Wednesday, 5 June 2013

Andhay Hain

Dastoor yahan bhi gongay hain, farman yahan bhi andhay hain,
Aye Dost KHUDA ka naam naa lay, iman yahan bhi andhay hain,

Takdeer kay kalay kambal main Azmat kay fasany liptain hain,
Mazmoon yahan bhi bahray hain, Unwan yahan bhi andhay hain,

Zardaar towako rakhta hay nadaar ki gharee mahnat par,
Mardoor yahan bhi dewany, Zeeshan yahan bhi andhay hain,

Kuch log bharosa kartay hain tasbeeh kay chaltay dano par,
Ba'chain yahan yazdaa'n ka jan'nu insan yahan bhi andhay hain,

Be'Naam jafa ki rahon par kuch dhool C urti rahti hai,
Heraan hain Dilon kay ainay, nadan yahan bhi andhay hain,

Ba'rang shafaq C dhalti hai be'noor sawarey hoty hain,
Shayar ka tasawur bhooka hai sultan yahan bhi andhay hain,

No comments:

Post a Comment