Hai Dua Yad Magar Harf-a-Dua Yad Nahi,
Meri Nagmat Ko Andaz-a-Nawa Yad Nahi,
Mane Jin Kay Liya Rahon Main Bichaya Tha Laho,
Wohi Aaj Kahtey Hain kay Wo Ahad-a-Wafa Yad Nahi,
Zindagi Jabar-a-Musalsal Ki Tarhan Katti Hai,
Jany Kis Jurm Ki Pai Hai Saza Yad Nahi,
Ao Ik Sajda Karein Alam-a-Madhoshi Main,
Log Kahtey Hain "Sagar" Ko Khuda Yad Nahi,

No comments:
Post a Comment